KAISA HAI YEH SUKOON
Kaisa hai yeh sukoon, yeh kaisi hai be-basi
Kaano mein gonjti nahi aahat bhi ab koi

Kaisa hai yeh sukoon, yeh kaisi hai be-basi
Kaano mein gonjti nahi aahat bhi ab koi
Safar to kat gaya, lutf-e-safar nahi aaya
Safar mein mod koi pur khatar nahi aaya
Kis raah se yeh jaane guzrne laga hoon main
Par chaaiyon se apni hi darne laga hoon main
Duniya ke saath saath tu chalna nahi hai ab
Aur haadson ki dhoop mein palna nahi hai ab
Gham-e-hayat se bachne ki ho koi tadeer
Dua-e-neem shabi mein nahi rahi taseer