FAISLA HONE KO HAI

Faisla hone ko hai kuch dair mein taqdeer ka
Ab to reh jaaye bharam kuch khwaab ki tabeer ka
Faisla hone ko hai kuch dair mein taqdeer ka
Ab to reh jaaye bharam kuch khwaab ki tabeer ka
Dil ko ghaayal jo karti rahi hain sada
Woh sadaayein abhi mere kaanon mein hain
Shab ki tareeki mein kuch der ujala thehre
Thehro thehro ke zara aas ka darya thehre
Ghar ki buniyad sar-e-aab-e-ravaan rakhi thi
Hum ko rakhni thi kahan aur kahan rakhi thi
Chhin gaya aaj charagon ka ujala kaise
Bas gayi aankhon mein veerani e sehra kaise