QAREEB SE DEKHA HAI
Har aik shakhs ko hum ne qareeb se dekha
Batana sahal kahan hai ke kaun kaisa tha

Har aik shakhs ko hum ne qareeb se dekha
Batana sahal kahan hai ke kaun kaisa tha
Yaadgaarein ohd-e-rafta ki mita di jayengi
Bazm-e-hasti mein nayi shamaain jala di jayengi
Silsila saazish ka hai fitna giroon ke darmiyan
Hum bhatakte phir rahe hain rahbroon ke darmiyan
Aao aye nazar walo dekho kya banaate hain
Hum to sang reizon ko aayna banaate hain
Har ghadi khoob dikhaata raha manzar apne
Aalam-e-taaza jo aabaad hai andar apne