BAAT BHI HAMARI
Har pal us se thani hamari
Duniya ke hareef thi hamari
Har pal us se thani hamari
Duniya ke hareef thi hamari
Yaar kab milne milaane aaye
Dil ki wahshat ko barhane aaye
Kaise aayi ye raat Khuda jaane
Been karte hain shaakh par patay
Sir mijgaan chiragh jalte rahe
Yun shab-e-hijr hum pighalte rahe
Khil uthay hain jo hasraton ke kanwal
Qafalay gham ke ho gaye ojhal
Har aik shakhs ko hum ne qareeb se dekha
Batana sahal kahan hai ke kaun kaisa tha
Yaadgaarein ohd-e-rafta ki mita di jayengi
Bazm-e-hasti mein nayi shamaain jala di jayengi
Silsila saazish ka hai fitna giroon ke darmiyan
Hum bhatakte phir rahe hain rahbroon ke darmiyan
Aao aye nazar walo dekho kya banaate hain
Hum to sang reizon ko aayna banaate hain
Har ghadi khoob dikhaata raha manzar apne
Aalam-e-taaza jo aabaad hai andar apne