AALAM E TAAZA

Har ghadi khoob dikhaata raha manzar apne
Aalam-e-taaza jo aabaad hai andar apne
Har ghadi khoob dikhaata raha manzar apne
Aalam-e-taaza jo aabaad hai andar apne
Sookhe patton ki tarah toote sitare jaise
Hain sabhi gardish-e-ayyam ke maare jaise
Ghar ki buniyad sar-e-aab-e-ravaan rakhi thi
Hum ko rakhni thi kahan aur kahan rakhi thi
Chhin gaya aaj charagon ka ujala kaise
Bas gayi aankhon mein veerani e sehra kaise
Sehra mein rawaan nehr hui aab e rawaan ki
Soorat koi baaqi na rahi wahm o gumaan ki